Wednesday, July 22, 2009

MERA BACHPAN

MERA BACHPAN

EK Shararat maine ki thi bachpan me
Dhoonda karta hun ab bhi jisko apne youwan me
Shararat jo us waqt koi khaas na thi
Churaye the aam unke jab wo paas na thi

Kabhi Jab Yaad aata hai wo, Papa ka mujhe school me chhod ke aana
Aur unke ghar wapas pahunchne se pahle hi mera ghar pahunch jana
Ek halki si muskurahat mere chehre pe aaj bhi khinch jati hai
Aur mujhe barbas un purane dino me khinch lati hai

Tab jab hum befikar ko kar dhoop barsaat me khela karte the
Kshitiz ke is paar se us paar ko dauda karte the
Na kahin tha girne ka darr,
dhun me rahte the apne
Subah Shaam aur charo pehar.

Yahin kahin aas paas wo masterji ki chadi dikhai de jati hai
Aur wo karun drishya fir se aankho ke samne ubhar aati hai
Fir wo yaad aate hain dosto ke sang wo jhagde aur jhanjhat
Wo class ki ladkiyan, kitni pyari kitni natkhat.

Ye lo wo panwari ki dukan bhi aa gayi
Hamare gappon ki dastan ko fir se duhra gayi
Fir wo yaad aate hain kitabo ke andar wo comics rakhkar padhna
Nagraj, dhruva, bhokal aur wo chhota bauna.

Wo jab ladko ko sadak pe sutta marte dekha karte the
Kisi hasin ladki pe unke comments suna karte the
Ek kasak kaisi jagti thi dil me
aksar sochte the kab bade honge
Aur shamil honge unki mehfil me.

Din gujra aur lo aaj fir sham ho gayi
Der se daftar se lautna baat ye aam ho gayi
Samajh nahi aata ye kaisi zindagi hai
Ghar se daftar aur daftar se ghar, bas yahi bebasi hai

Barish me bhigna to ab khwabo me hi dekhte hain
Dhool dhoop aur mitti ke naam se sihar jate hain
Aksar galiyon ke bachho ko jab hurdang machete dekhte hain
Dil hi dil me bas man masos ke rah jate hain

Kash hum aaj bhi bade na hue hote
Is bhaag daud ki zindagi me Khade na hue hote
Ek baar sochta hun kabhi kabhi, Kaash aisa hota
Ek baar wapas ja kar apna bachpan fir se ji leta
Apni aankhein mund leta aur fir kabhi bada nahi hota…..

1 comment:

  1. Jo Waqt Nikal Gaya Hai;

    Us par aansoo bahana Apne ko Kamzor karne jaisa hai;

    Ab to Acche Samay mein Apni Kismat ko badalna hai


    -Saurabh

    ReplyDelete