Friday, July 24, 2009

Kya ab bhi Insaniyat baaki hai....

Kya ab bhi Insaniyat baaki hai....

Ek vyang bhari muskaan kal mujhe chhoo kar nikal gai..
Dil me bhavnayein jo thos thi, Sab pighal gai...
Aansuon ki dhar kuchh aise bahi surk gaalo par..
dhadkan meri antar tak sihar gayi....

jab bhangi se jaaga to paas koi bhi nahi tha...
Dur un masoom hatho me aluminium ka katora pada tha..
Log aate jate us par taras khate nikal jate the..
Katora paise se kam, bas umidon se bhara tha..

Aaj un karun aankho me kasish thi, tanmayta thi...
kabhi jinme sapne saakaar karne ki utsukta thi...
bhavishya apna wo ab logo ki thikro pe banata hai bigarta hai..
kal tak jin khwabo me kuchh kar gujarne ki kshamta thi...

Kaise toote sapne uske iski bhi ek datsan hai..
maa baap ke guzarte hi bechara kitna pareshaan hai..
karib ke rishtedaro ne mushkil me kinara kar liya..
aur nishthur lalchi duniya ne use besahara kar diya..

Jab Jab ek palak bhi use dekhta hun..
is nirdai samaj ko kosta hun...
Bharosa ab to insaniyat par se uth gaya hai..
Aur sir bhi mera sharam se jhuk gaya hai..

Kya manviya mulya patal k gart me sama gaye hain..
ya fir hamari aatmaaon ko kaal nigal gaye hain..
Mar chuki hai insaniyat ab to, sirf chhal kapat chhaya hai..
Is kale mahasagar me bas kagazo ki maya hai..

Hatash ho chala tha mai, par tabhi dekha un haatho ko..
jo badh chale us chhote bachhe ko thamne ko...
Is wakye ne Insaniyat ko fir se jila diya..
aur ab bhi mari nahi hai insaniyat, ye mujhe sikha diya..

par ek vyang wali muskaan fir se mujhe hila gai...
apne kavi hone ke garv ko jad se murja gayi..
kalam se likhe ke apna kaam poora kar diya..
maan ke ho gai smaaj jagrut, man me hi khush ho liya..

par humse bada kavi to wo insaan hai ..
Jo samasya ko samajhta hai..janta hai..
Sirf likhta hi nahi, balki kuchh karke dikhata hai..
aur Is samaj me Insaan hone ka Ehsaas karata hai..
aur Is samaj me Insaan hone ka Ehsaas karata hai..

1 comment:

  1. Tere Pass jo jadoo hai;

    wo is bachche ko badal dega;

    us bachche ko bas rasta bata do;

    wo tumse aage nikal ke dikha dega;

    -Saurabh
    Bangalore

    ReplyDelete