Bachpan se lekar insaan khud ki pareshaaniyo se jujhta hai
aur ye pareshaaniyan aisi hain ki kabhi khatam hi nahi hoti
ek pareshaani khatam hoti hai to dusri mushkil muh baaye khadi rahti hai
Par ek baat aksar mujhe hairaan kar deti hai
In pareshaaniyo ki tarah..inse jujhne ka hausla bhi kabhi khatam nahi hota
Insaan mushkil ko khatam kar hi deta hai antatah...
mushkilo me jujhta hua insaan kahun...ya zindagi me jhulti mushkile..
par meri hairaani tab aur bhi badh jaati hai
jab mushkilein achanak khatam ho jaati hain..
saansein thahar jaati hain..aur samay chakra ruk jaata hai...
Dekho agar gaur se to mushkilein Insaan se bewafaaii nahi karti...Mere Bewafa Yaar ki tarah!!!